25/07/2026
Ek aisa royal palace... jahan ek sath 1 LAKH BULBS chamakte hain!
Karnataka ka iconic ‘Mysore Palace’ (Amba Vilas Palace) royal grandeur aur architecture ka ek adbhut namuna hai. Taj Mahal ke baad ye India ki second most visited historical spot hai!
Purana lakdi ka mahal 1897 mein aag se jalkar raakh ho gaya tha, jiske baad Wodeyar dynasty ne 1912 mein is grand palace ko taiyar karwaya. Dussehra ke parv par jab iski 100,000 se zyada lights ek sath roshan hoti hain, toh nazara anokha lagta hai. Agar aap bhi ek asli Safar Seeker hain, toh South India ka ye royal jewel aapko zaroor dekhna chahiye! 👑📜