13/04/2026
Baithe hain chain se, kahin jaana to hai nahin,
Hum be-gharon ka koi thikaana to hai nahin.
Tum bhi ho bite waqt ke maanind hu-ba-hu,
Tum ne bhi yaad aana hai, aana to hai nahin.
Ahd-e-wafaa se kis liye khaayif ho meri jaan,
Kar lo ke tum ne ahd nibahaana to hai nahin.
Woh jo hamein aziiz hai, kaisa hai, kaun hai,
Kyun poochte ho, hum ne bataana to hai nahin.
Duniya hum ahl-e-ishq pe kyun phenkti hai jaal,
Hum ne tere fareb mein aana to hai nahin.
Woh ishq to karega magar dekh bhaal ke,
'Faris' woh tere jaisa diwaana to hai nahin...
— Rehman Faris