02/10/2026
Lakhani Residency Management ki intahai ghair-zimmadarana aur sharmnak harkat!
Lakhani Residency mein flat lene waale aur tamam dekhne waalo ke liye yeh video ek aankhen kholne wala suboot hai!
Bina kisi wajah ke hamare flat ki bijli kaat di gayi hai, jis ki wajah se meri poori family pareshan bethi hai.
Management ka ghair-akhlaki aur laparwah rawayya:
1. Zimmedari se frar: Electricians ko call karo toh kehte hain humne light nahi kaati, office baat karo.
2. Office ka ghour-sanjida rawayya: Office mein koi bhi baat sunne ya masla hal karne ko tayyar nahi hai.
3. Residents ki tazleel: Yeh halat hai in logo ki, koi bhi banda in se baat karne ya masla hal karne ko tayyar nahi. Sabh se guzarish hai: Is project mein flat lene ya investment karne se pehle 100 baar sochain, yahan rehne waalon ke sath yeh sulook kiya jata hai!