13/04/2026
Un har viro ko salam jinhone desh k hit m diya apna yogdan,
Or bharat mata ki charno me neychhawar kie apne pran.
Mahatma Gandhi, Chandrasekhar Azad, Bhagat Singh ityadi the vir mahan,
Jhuk jata h unke charno me sar apne aap dene ko inhe samman.
Bharat m rakshash ban kiya angrejo ne adhikar,
13 April 1919 ko jaliyawala bagh hatyakand ke rup me kiya narsanghhar.
Na jane kitne log mare kitne hue ghayl jab hui thi goliyo ki bauchhar,
Kitne hi maa ki god suni hui kitno ke mang ka sindur gaya jb b**hhi thi lash b**h bag.
Khun ki holi khel janral dayar tha khushi ke nashe me chur,
Is narsanghhar ne di chingariyo ko hawa jo krantikariyo ke lie ban gaya junun.
Desh ke bete udham Singh ne Thani ab khatm krega rakshas dayar ki kahani,
Ja pahucha angrejo ke shahar landan dene bhart mata ko apne sahash ki nishani,
Sabhi angerejo ke samne din dahare kiya sero wala kaam,
Kar goliyo ki bauchhar janral dayar ko utara mot ke ghat.
Jald hi khatm hui angrejo ki kahani khatm hui unki manmani.
Un har viro ko salam jinhone desh ke hit m diya apna yogdan,
Or bharat mata ki jarno me neychhawar kie apne pran.
Jay Hind Jay Hind ki Sena..,
By .....Aditi Neha