21/08/2026
Woh Shehre Mohabbat Jahaan Mustafa Hain Naat Shareef Lyrics In English & Urdu 👇
Woh Shehr-E-Mohabbat Jahaan Mustafa ﷺ Hain Wahin Ghar Banaane Ko Jee Chaahta Hai
Woh Sone Se Kankar Woh Chaandi Si Mitti
Nazar Mein Basaane Ko Jee Chaahta Hai
Jo Poochha Nabi ﷺ Ne Ki Kuch Ghar Bhi Chhoda To Siddiq-E-Akbar Ke Honton Pe Aaya
Wahaan Maal-O-Daulat Ki Kya Hai Haqeeqat Jahaan Jaan Lutaane Ko Jee Chaahta Hai
Jihaad-E-Mohabbat Ki Aawaaz Goonji
Kaha Hanzla Ne Yeh Dulhan Se Apni
Ijaazat Agar Ho To Jaam-E-Shahaadat
Labon Se Lagaane Ko Jee Chaahta Hai
Sitaaron Se Yeh Chaand Kehta Hai Har Dum Tumhein Kya Bataaoon Woh Tukdon Ka Aalam
Ishaare Mein Aaqa ﷺ Ke Itna Maza Tha Ke Phir Toot Jaane Ko Jee Chaahta Hai
Woh Nanha Sa Asghar Jo Aidi Ragad Kar Yahi Keh Raha Tha Woh Khaime Mein Ro Kar
Ae Baaba! Main Paani Ka Pyaasa Nahin Hoon Mera Sar Kataane Ko Jee Chaahta Hai
Jo Dekha Hai Roo-E-Jamaal-E-Risaalat ﷺ To "Taahir"! Umar Mustafa ﷺ Se Yeh Bole
Badi Aap ﷺ Se Dushmani Thi Magar Ab Ghulaami Mein Aane Ko Jee Chaahta Hai
Hussain Ibn-E-Haidar Ka Tha Ek Naara Mujhe Apne Naana ﷺ Ka Hai Deen Pyaara
Mujhe Taaj-E-Sarwar Ki Khwaahish Nahin Hai Mera Khuld Jaane Ko Jee Chaahta Hai
Qadam Jis Zameen Par Rakhe Hain Nabi ﷺ Ne
Wahaan Khol Rakhe Hain Dar Roshni Ne
Woh Galiyaan Jahaan Chalte The Mere Aaqa ﷺ
Wahaan Dil Bichhaane Ko Jee Chaahta Hai
Udhar Deed-E-Aaqa ﷺ Mein Har Dum Tadapte
Idhar Har Ghadi Maa Ki Khidmat Mein Rehte
Owais Apni Haalat Bataate Bhi Kis Ko
Madine Mein Jaane Ko Jee Chaahta Hai
Sitam Ka Sabab Koi Poochhe To Ja Kar
Kahenge Bilaal-E-Habash Muskura Kar
Tadapte Sisakte Hue Unki Khaatir
Mera Jaan Se Jaane Ko Jee Chaahta Hai
Jo Bachche Gaye Badr Mein Sab Se Chhup Kar
Jinhon Ne Udaaya Abu Jahal Ka Sar
Khuda Ki Qasam Unko Dulha Bana Kar
Gale Se Lagaane Ko Jee Chaahta Hai
Woh Aaqa ﷺ Ki Masjid, Woh Aaqa ﷺ Ka Gumbad
Woh Aaqa ﷺ Ki Jaali, Woh Aaqa ﷺ Ka Roza
Tasawwur Mein Tasveer Unki Bana Kar
Wahin Doob Jaane Ko Jee Chaahta Hai
Ajab Kaifiyat Aane Lagti Hai Dil Par
Ajab Be Khudi Chhaane Lagti Hai Dil Par
Madine Ki Jab Chhed De Koi Baatein
To Naatein Sunaane Ko Jee Chaahta Hai
Deewaana Yeh Mushk-O-Heena Ka Nahin Hai
Koi Itr Bhi Dil Ko Bhaata Nahin Hai
Mehekne Ki Khaatir Nabi ﷺ Ka Paseena
Badan Pe Lagaane Ko Jee Chaahta Hai
Tujhe Dekh Kar Muskuraayegi Jannat
Tere Ghar Talak Chal Ke Aayegi Jannat
Kabhi Dekh To Maa Se Keh Kar, Meri Maa!
Tera Sar Dabaane Ko Jee Chaahta Hai
Jo Dekha Hai Aaqa ﷺ Ke Qadmon Ka Patthar
To Kya Haal Dil Ka Bataaoon, Ae "Azhar"!
Kabhi Sar Pe Rakhne Ko Dil Chaahta Hai
Kabhi Sar Jhukaane Ko Jee Chaahta Hai
In Urdu 👇
وہ شہرے محبّت جہاں مُصطفیٰ ﷺ ہیں
وہیں گھر بنانے کو جی چاہتا ہے
وہ سونے سے کنکر وہ سونے سے مِٹّی
نظر میں بسانے کو جی چاہتا ہے
جو پوچھا نبی ﷺ نے کے کُچھ گھر بھی چھوڑا
تو صِدِّیقِ اکبر کے ہونٹوں پہ آیا
وہاں مال و دولت کی کیا ہے حقیقت
جہاں جاں لُٹانے کو جی چاہتا ہے
جِہادِ محبّت کی آواز گونجی
کہا حنظلہ نے یہ دُلہن سے اپنی
اِجازت اگر ہو تو جامِ شہادت
لبوں سے لگانے کو جی چاہتا ہے
سِتاروں سے یہ چاند کہتا ہے ہر دم
تُمہیں کیا بتاؤں وہ ٹُکڑوں کا عالَم
اِشارے میں آقا ﷺ کے اِتنا مزا تھا
کہ پِھر ٹوٹ جانے کو جی چاہتا ہے
وہ ننھا سا اصغر ایڑی رگڑ کر
یہی کہ رہا ہے وہ خیمے میں رو کر
اے بابا میں پانی کا پیاسا نہیں ہوں
میرا سر کٹانے کو جی چاہتا ہے
جو دیکھا ہے روۓ جمالِ رِسالت ﷺ
تو طاہِر! عُمر مُصطفیٰ ﷺ سے یہ بولے
بڑی آپ ﷺ سے دُشمنی تھی مگر اب
غُلامی میں آنے کو جی چاہتا ہے
حُسین اِبنِ حیدر کا تھا ایک نعرہ
مُجھے اپنے نانا ﷺ کا ہے دین پیارا
مُجھے تاجِ سرور کی خواہِش نہیں ہے
میرا خُلد جانے کو جی چاہتا ہے
قدم جِس زمیں پر رکھے ہیں نبی ﷺ نے
وہاں کھول رکّھے ہیں در روشنی نے
وہ گلیاں جہاں چلتے تھے میرے آقا ﷺ
وہاں دِل بِچھانے کو جی چاہتا ہے
اُدھر دیدِ آقا ﷺ میں ہر دم تڑپتے
اِدھر ہر گھڑی ماں کی خِدمت میں رہتے
اویس اپنی حالت بتاتے بھی کِس کو
مدینے میں جانے کو جی چاہتا ہے
سِتم کا سبب کوئی پوچھے تو جا کر
کہیں گے بِلالِ حبش مُسکُرا کر
تڑپتے سِسکتے ہوئے اُن کی خاطِر
میرا جاں سے جانے کو جی چاہتا ہے
جو بچّے گئے بدر میں سب سے چُھپ کر
جِنہوں نے اُڑایا ابو جہل کا سر
خُدا کی قسم اُن کو دولھا بنا کر
گلے سے لگانے کو جی چاہتا ہے
وہ آقا ﷺ کی مسجِد، وہ آقا ﷺ کا گُنبد
وہ آقا ﷺ کی جالی، وہ آقا ﷺ کا روضہ
تصوُّر میں تصویر اُن کی بنا کر
وہیں ڈوب جانے کو جی چاہتا ہے
عجب کیفیت آنے لگتی ہے دِل پر
عجب بے خودی چھانے لگتی ہے دِل پر
مدینے کی جب چھیڑ دے کوئی باتیں
تو نعتیں سُنانے کو جی چاہتا ہے
دیوانہ یہ مُشک و حِنا کا نہیں ہے
کوئی عِطر بھی دِل کو بھاتا نہیں ہے
مہکنے کی خاطِر نبی ﷺ کا پسینہ
بدن پہ لگانے کو جی چاہتا ہے
تُجھے دیکھ کر مُسکُرائے گی جنّت
تیرے گھر تلک چل کے آئے گی جنّت
کبھی دیکھ تو ماں سے کہہ کر، میری ماں!
تیرا سر دبانے کو جی چاہتا ہے
جو دیکھا ہے آقا ﷺ کے قدموں کا پتّھر
تو کیا حال دِل کا بتاؤں، اے اظہر!
کبھی سر پہ رکھنے کو دِل چاہتا ہے
کبھی سر جُھکانے کو جی چاہتا ہے