I Am Sorry - '-'

I Am Sorry - '-' Books are as useful to a stupid person as a mirror is useful to a blind person

The characters are the same; only the stories have changed.With time, the definition of relationships has changed too.Ea...
01/01/2026

The characters are the same; only the stories have changed.
With time, the definition of relationships has changed too.
Earlier, silence was considered a virtue;
today, speaking up is called self-respect.

Earlier, enduring everything was seen as duty;
today, understanding is considered necessary.

Marriages don’t break because someone talks too much;
they break when someone stops listening.

Dignity is not in clothing, but in behavior.
Modesty is not about suppressing one’s voice,
but about standing up against what is wrong.

A relationship survives when we rise above
“I am right”
and choose
“we must be right.”

Today, love is neither the fault of a woman
nor of a man.
The real fault lies in impatience—
in learning to give up even before learning how to stay.

If both partners show a little patience,
a little understanding,
and a little warmth,
then even today marriages can last
not just for years, but for a lifetime.

Men often express love in words,
but women give many times more love
without ever saying it out loud.

I hope 2026 turns out far better than the past year.
May everyone receive what they truly desire.
May relationships standing on the edge of breaking
find strength again.
May those who were falling apart come together.

May no one be separated from the one they love.
May the girls and boys who once couldn’t stand up
for their love finally do so,
and live happily together.

May this year bring peace to lives,
be filled with dreams,
and become unforgettable for everyone.

This is my only prayer—
may everyone be happy. 🌿

01/01/2026
नमस्कार, कैसे हैं आप?उम्मीद है आप और आपके अपने सब ठीक होंगे। आज से नया साल 2026 शुरू हो चुका है।बीता हुआ साल 2025… किसी ...
01/01/2026

नमस्कार, कैसे हैं आप?
उम्मीद है आप और आपके अपने सब ठीक होंगे। आज से नया साल 2026 शुरू हो चुका है।
बीता हुआ साल 2025… किसी के लिए खुशियों से भरा रहा, तो किसी के लिए उदासी, दर्द और संघर्ष का साल रहा।
किसी ने हर दिन तलवार की तरह जिया, तो किसी ने काँटों पर चलकर वक्त गुज़ारा।
कोई अस्पताल में रहा, कोई मुस्कुराता रहा, और कोई ग़मों में डूबा रहा।

हर साल को मुबारक कहना चाहिए।
जाने वाले साल को अलविदा और आने वाले साल को स्वागत।
कौन जानता है कि 2026 किसके लिए क्या लेकर आएगा—
किसके लिए खुशियाँ, किसके लिए चुनौतियाँ।
यह कोई नहीं बता सकता।

इसलिए ज़रूरी है कि हर साल में खुशियाँ मनाई जाएँ,
हर हाल में खुश रहने की कोशिश की जाए।
दुख तो आते-जाते रहते हैं,
ज़िंदगी में सुख चार दिन का है और दुख दस दिन का—
ये सबके साथ होता है।

2026 में कुछ नई शुरुआत कीजिए।
कुछ नया सोचिए, कुछ नया बनाइए।
पुराने दर्द, पुराने ग़मों को अलविदा कहिए
और नए सपनों, नई उम्मीदों का स्वागत कीजिए।

हर दर्द, हर ग़म को भूलकर आगे बढ़िए।
बस खुश रहिए—
इतना खुश रहिए कि सामने वाला सोचने लगे,
“ये इतना खुश क्यों रहता है?”

क्योंकि ज़िंदगी है—
कभी खुशी लाती है, कभी ग़म।
और यही ज़िंदगी की खूबसूरती है।

नव वर्ष 2026 की हार्दिक शुभकामनाएँ। 🌸
खुश रहिए, स्वस्थ रहिए, मुस्कुराते रहिए।

☃️⛄💯🎉🎊💐

Aise bahut saare ladke hain jo pyar to kar lete hain,lekin apne pyar ko poora nahi kar paate.Koi job kar raha hota hai, ...
26/12/2025

Aise bahut saare ladke hain jo pyar to kar lete hain,
lekin apne pyar ko poora nahi kar paate.
Koi job kar raha hota hai, koi college ja raha hota hai,
aur bas yeh keh kar baat taal dete hain—
“mera ghar nahi bana hai,
mere paas abhi itna paisa nahi hai,
main abhi k**a raha hoon,
main abhi padh raha hoon,
isliye main abhi shaadi nahi kar sakta.”
Isi wajah se bahut saare ladke aur ladkiyan
ek-dusre ko chhod dete hain.
Par kyun kar rahe ho aisa?
Jo ladki aapse pyar kar rahi thi,
woh aapka ghar, paisa ya status dekh kar nahi aayi thi.
Woh sirf aapko dekh kar aayi thi,
kyunki kahin na kahin woh aapse bahut zyada pyar karti thi,
aapke saath rehna chahti thi,
aapko support karna chahti thi
aur aapke saath aage badhna chahti thi.
Magar aap use yeh keh kar side kar dete ho
ki “mera ghar nahi hai,
mere paas paisa nahi hai,
main abhi stable nahi hoon.”
Jab pyar kiya tha tab kyun nahi socha
ki main stable nahi hoon,
mere paas ghar nahi hai?
Jab pyar kiya tha tab sochna chahiye tha na?
Phir us ladki ko saza kyun de rahe ho
is baat ki ki tumhare paas ghar nahi hai, paisa nahi hai?
Ban jaayega na—kya dikkat hai?
Aaj nahi to kal banega,
ek din to banega hi.
Kya lagta hai,
tum use chhod doge to kya
tumhara ghar-dwaar jaldi ban jaayega?
Agar paisa nahi hai, stability nahi hai,
to aa jaayegi.
Kuchh cheezein kabhi ekdum se nahi aati,
woh dheere-dheere hi banti hain.
Usse chhod dene se
tumhe kuchh extra milne wala nahi hai.
Tumne ghar-paise ke chakkar mein
na sirf ek behtareen insaan khoya hai,
balki ek sachcha pyar bhi kho diya hai.
Ab phir “better” ki talaash karoge,
aur agar woh bhi nahi mila
to arrange marriage kar loge.
Kyunki shayad kahin na kahin
tum adjustment hi deserve karte ho,
pyar deserve nahi karte.
Kuchh ladke aise hote hain,
aur kuchh ladkiyan bhi aisi hoti hain
jo kisi ko bahut hadd tak pyar kar leti hain,
phir achanak keh deti hain—
“mere ghar wale nahi maan rahe,
hamari caste alag hai,
papa yeh kar rahe hain,
papa woh kar rahe hain,
papa samajh nahi rahe.”
Aisa karke woh ladke ki haalat bhi buri kar deti hain.
Mat karo deviyon, aisa mat karo.
Aap kabhi nahi samajh paoge
ki us ladke ya us ladki par kya beet rahi hogi.
Jis din yeh sab
aapke apne bachchon ke saath hoga na,
usi din samajh aayega
ki haan, humne bhi kisi ke saath
kabhi aisa kiya tha.

18/12/2025
✨ “I Love You” – Yeh Lafz Galat Nahi, Bas Logon Ki Soch Galat Hoti Hai“I love you” koi galat shabd nahi hai.Bachpan se h...
09/12/2025

✨ “I Love You” – Yeh Lafz Galat Nahi, Bas Logon Ki Soch Galat Hoti Hai
“I love you” koi galat shabd nahi hai.
Bachpan se hi hum apne bacchon ko sikhate hain —
“I love you Papa”, “I love you Mummy”, “I love you Sister”.
School ki kitaabon mein bhi “I love you” ka matlab pyaar hi likha hota है —
jo hum apne parivaar se karte हैं.
Pyaar sirf boyfriend-girlfriend ka nahi hotा.
Pyaar behen-bhai se bhi hotा है,
bachchon se bhi,
parents se bhi,
doston se bhi.
Lekin kuch log “I love you” ka direction hi galat samajh lete हैं.
Unhe lagta है ki yeh shabd sirf affair ya relationship ke liye bola jaata है.
Jabki asal mein “I love you” ek saaf, pavitra aur pyaar bhara lafz है.
“I love you” ka matlab hotा है —
tum mere apne ho,
tum mere dil ke kareeb ho,
main tumhari care karta/ karti hoon.
Isme koi gadbad, koi galat irada, koi bura matlab nahi hotा.
Galat sirf unki soch hotी है
jo pyaar ko sirf ek hi angle se dekhte हैं.
Pyaar har rishton mein hotा है —
aur “I love you” us pyaar ko express karne ka ek sundar tareeka है.

Ham kis dard se guzar rahe hain, hum kaise bata dein…Yeh dard humein kisi ne tohfa diya hai, aur tohfa kabhi bataya nahi...
09/12/2025

Ham kis dard se guzar rahe hain, hum kaise bata dein…
Yeh dard humein kisi ne tohfa diya hai, aur tohfa kabhi bataya nahi jaata.
Is dard ko hum apne paas hi rehne dena chahte hain…
Shayad yahi dard hamare jeene ki wajah ban gaya hai.
Kuchh dard aise hote hain, jinke bare mein bolne se unki gehraayi kam nahi hoti,
Aur chup rehne se unki aadat pad jaati hai…
Ho sakta hai, yeh dard hi hamari sabse badi taaqat ban jaaye.

09/12/2025

Dhurandhar

Kya lagta hai tumhe?Agar koi ladka kisi ladki se pyar karta hai ya ladki kisi ladke se pyar karti hai…toh kya woh unke l...
08/12/2025

Kya lagta hai tumhe?
Agar koi ladka kisi ladki se pyar karta hai ya ladki kisi ladke se pyar karti hai…
toh kya woh unke liye stand lenge?
Kya woh unke liye lad paayenge?
Kya woh unke saath face lekar khade ho paayenge?
Sach to yeh hai ki jin ladkon aur ladkiyon ke faisle ghar wale karte hain,
woh apni zindagi ke bade faisle kabhi khud nahi kar paate —
chahe pyaar ho, dosti ho, ya koi bhi rishta kyun na ho.
Phir unse kaise umeed rakh sakte ho ki woh kisi ke liye stand lenge?
Lekin jo ladka ya ladki khud ke faisle khud leti/leta hai,
woh apne pairon par khade hote hain.
Unko pata hota hai ki unke liye kya sahi hai, kya galat hai,
kyunki woh bachpan se hi yeh sab dekhte aaye hote hain.
Kabhi-kabhi parents ya family bahar walon ke bahkave mein,
ya rishtedaro ki baaton mein aa kar
apne bachchon par woh faisle thop dete hain
jo bachche chahte hi nahi.
Unke upar bojh daal dete hain —
“Yeh karo, woh mat karo, yeh humne decide kiya hai tumhare liye.”
Par kya unhe lagta hai ki bachche yeh sab bojh jhel lenge?
Nahin.
Is bojh ke neeche zindagi dab jaati hai.
Aaj 99% ladke-ladkiyon ke divorce, judai,
ya rishton ka tootna —
unki family ki wajah se hota hai,
unke maa-baap ki soch ki wajah se hota hai,
unke zyada interfere karne ki wajah se hota hai.
Hamesha ladka ya ladki galat nahi hote.
Kabhi misunderstanding ho jaati hai,
kabhi ek piche hat jaata hai,
kabhi dusre ki soch match nahi hoti.
But main sirf itna kehna chahti hoon ki —
Har ladka, har ladki apne faisle khud le sakte hain.
Unhe pura haq hai, kyunki woh bhi dekhte aaye hain ki zindagi mein kya sahi hai, kya galat.
Aur agar galat faisla bhi ho jaaye,
toh woh khud ka hoga —
kam se kam maa-baap badnaam nahi honge.
Bachche bhi yeh nahi bolenge ki
“Yeh sab maa-baap ki marzi se hua.”
Khud ke faisle honge,
khud ki zindagi hogi,
aur galti bhi hogi to woh unhe samajh aayegi.
Aage chal kar maa-baap bhi keh sakte hain:
“Beta/beti, ye faisla tumhara tha — hamara nahi.”
Is tarah kam se kam relationship ki zimmedari,
uski success ya failure —
dono maturely handle ho sakte hain.

Address

Adhartal
Jabalpur
482004

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when I Am Sorry - '-' posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Share

Dream

Dream