18/06/2017
Humari hare k farmaish bin puchhe puri kr jaya krte hai wo,
Ruthjaane pr humko manaya krte hai wo,
Humari aakho me aansu dekh sabse ladjaya krte h wo,
Humari ek khushi ke khatir sabkuchh krjate h wo,
Maa ki har daant se hume bachaya krte h wo,
Har daant ke baat pyaar jataya krte h wo,
Har ek musibat me saath nibhaya krte h wo,
Ek din chhod jaunga tumhe yeh khe kr sataya krte h wo,
Papa hum naadan the jo aapka dil dukhaya krte the,
Aapki har seekh ko bas yuhi taal jaaya krte the,
Aap ki baate ku samajh nhi paya krte the,
Naadan the hum jo aapka dil dukhaya krte the,
Jab koi mitr nhi tha mera bas aap hua krte the,
Har khel or masti hum saath kiya krte the,
Haar kr bhi mujhse aap jeet jaya krte the,
beimaani krke bhi aap mujhe hi jitaya krte the,
Door kisi kone me jab me chhipkr roya krta tha,
Na jaane aapko kaise aabhas ho jaya krta tha,
Papa aap mahan ho, humare toh aap hi saktimaan ho, bachpan ke teekaman ho, ya khilono ki dukaan ho,
humare bachpan ki to aap hi phechaan ho,
koi kahe liye pitji toh kisi ki liye abbujaan ho,
humare toh aap hi ishu allha or bhagwan ho,
papa aap mahan ho…