20/04/2026
Adabi Sangam, Betiah ( Bihar) ki ilmi sarzameen par 18 April, 2026 ki shab ustaad shayer Manzar Sultan marhoom ki kitaab” Manzar Nama” ki Rasm e Ijra aur All India Mushaire men shirkat huyi. Sadaarat kee, Kitab ke hawaale se izhaar e khayal kiya aur aakhir men dair tak kalaam pesh kiya. Samayin ne behad nawaaza. Allah ka laakh laakh shukr hai. Convenor Mushaira Dr Javed Qamar aur kitaab ke murattib Dr Nasim Ahmad Nasim aur Bazm e Adab ko kamyaab mushaire ki mubarakbad.