16/10/2020
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌼حَدَّثَنَا أَبُو نُعَيْمٍ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ الْأَعْمَشِ، عَنْ إِبْرَاهِيمَ، عَنْ هَمَّامٍ، عَنْ حُذَيْفَةَ، قَالَ: ""يَا مَعْشَرَ الْقُرَّاءِ، اسْتَقِيمُوا فَقَدْ سَبَقْتُمْ سَبْقًا بَعِيدًا، فَإِنْ أَخَذْتُمْ يَمِينًا وَشِمَالًا لَقَدْ ضَلَلْتُمْ *ضَلَالًا بَعِيدًا*"".
🌺हम्माम र•अ से रेवायत है: हुज़ैफा र•अ ने फरमाया, ए क़ुरआन-ओ-हदीस पढ़ने वालो! तुम अगर क़ुरआन-ओ-हदीस पर ना जमोगे, इधर उधर दाएं बाएं रास्ता लोगे तो भी गुमराह होगे *बहुत ही बड़े गुमराह।*
🌼Hammam ra se revayat hai: hudhaifa ra ne farmaya, Ae quran o hadees parhne walo! tum agar quran o hadees par nah jmoge, idhar udhar dayen baen rasta loge to bhi gumraah hoge *bohot hi bare gumrah.*
🌺ہمام رضی اللہ عنہ سے ریوایت ہے: حذیفہ رضی اللہ عنہ نے کہا کہ اے قرآن و حدیث پڑھنے والو! تم اگر قرآن و حدیث پر نہ جمو گے، ادھر ادھر دائیں بائیں راستہ لو گے تو بھی گمراہ ہو گے *بہت ہی بڑے گمراہ۔*
🌼Narrated Hammam radhi Allah anho: Hudhaifa ra said, O the Group of Al-Qurra! Follow the straight path, for then you have taken a great lead (and will be the leaders), but if you divert right or left, then *you will go astray far away.*
📜 *wazahat:* yaad rakhen, kitaab o sunnat ( quran kareem aur sahih ahadees rasool ﷺ) ke itteba ke elawa dusre tamaam shakhsi tarike, madhahib wa maslak ki taqleed karna insaan ko halakat ke garhey mein pahuncha deta hai, jab ke quran kareem aur sahih ahadees rasool ﷺ ko kaamil aur mukammal jaan kar uski itteba insaan ko kamyabi aur nejaat ke raaste tak pahuncha deta hai. Jisne apne mehboob nabi Mohammad kareem ﷺ ke elawa kisi ummati shakhs ko shariat ka imam e aazam jana aur nabi kareem ﷺ ki itteba ko chore kar kisi ummati shakhs ko apna imam jaan kar uski taqleed ki toh woh shakhs halaak aur tabah huwa, Rasool ﷺ ki sunnat ( sahih ahadees ) par kisi ummati shakhs ki baat wa qoul ko tarjeeh dene waley shakhs ka sara amal wa mushaqqat zaya wa barbaad hai, aur woh duniya aur akhirat mein zaleel aur khab o Khasir rahega.
Allah ta'ala ne Quran mein farmaya~
*_Aur uss din zalim shaks apnay hathon ko chaba chaba ker kahe ga haye kaash ke mein ne rasool ( ﷺ ) ki raah ikhtiyar ki hoti. Haye afsos kaash ke mein ne falan ko dost na banaya hota. Iss ne to mujhe iss kay baad gumrah ker diya ke naseehat mere pass aa phonci thi aur shetan to insan ko ( waqt per ) dagha dene wala hai. Aur Rasool (ﷺ) kahen ge ke Ae mere perwerdigar! Be-shak meri ummat ne iss quran ko chor rakha tha. [📖Quran 25:27-30 ]_*
_*jisne rasool ki ita'at usne Allah ki ita'at ki.. [📖Quran 4:80]*_
*_Allah ki ita'at karo aur rasool Allah (ﷺ) ka kaha mano.. [📖Quran 4:59]_*
_*..aur tumhen jo kuch rasool de le lo aur j**s se rokay ruk jao aur Allah Taala se darte raha karo yaqeenan Allah Taala sakht azaab dene wala hai. [📖Quran 59:7]*_
📚 _*Bukhari sharif: jild 9 kitab Al-Aa'tsam bil-kitab wa sunnah 96, hadith no. 7282*_
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Iالعربية/हिन्दी/Roman english/اردو/English mein hadees pane ke liye~