Diivaan-E-Malik

Diivaan-E-Malik Urdu Shayari , Hindi Kavitha

Copyright © Diivaan-E-Malik | Reserved
13/06/2026

Copyright © Diivaan-E-Malik | Reserved

03/06/2026
Diivaan-E-Malik
16/05/2026

Diivaan-E-Malik

30/04/2026

Shab-e-gham ki khamoshi mein
thakaan oodh kar soo g*e
Suboh-Dam phir se
kaam pe ho g*e
Makaan aur makeen saraae se ho g*e
Hum apne hi ghar mein paraae se ho g*e

Phir ek shaam safar yeh tamaam hoga
Phir na yeh raat din k ahtemaam hoga

Hum badan-had se
bahut duur chalae jaeng*e
Phir na koi hamara naam lae ga

Ek Fitna hai yeh dunia e faani
Kaun yahan hamesha rahega
Musafir aaeng*e tahren chalae jaaeng*e

Phir hashr k din ka intezaam hoga
Jaza ya saza ka faisla -e-anjaam hoga
Rab-e-zul jalaal e ikraam ka
Apne nek bando pe behisaab inaam hoga

Diivaan-E-Malik

30/04/2026

Nazar dekh kar
Niyyath parakh lete hain

Sab jaan kar
Bharam rakh lete hain

Zarf walae magar
Darguzar kar dete hain

Buland soonch badi shewa e shaan hoti hai
Shaheen ki oonchi udaan hoti hai

Charag ka jalna roshni hai
Pawan ka chalna rooh-e- rawan hai

Darya ke maujen hamesha rawani mein hai
Sangharsh jeevan ka yeh jaavedani hai

Har manzar sadiyon k pasmanzar hai
Har nazar gahra ek samandar hai

Laakh toofan mein gar ghera ho tu malik tho kya hai
Apna Maula Apna Parwardigaar apne saath hai
Yehi ummeed yehi hausla apne sukoon k raaz hai

Diivaan-E-Malik

20/04/2026

Arz Kia Hai

Duur ufaq mein kahin nazar aara hai
Dekho Roshniyon ka kaafla aara ha hai
Khus aamdeed logo
Khushiyan manao
Ramadan aa raha hai
Eid ki khushiyan laa raha hai
Khuda k beshumaar
Rahmaten laa raha hai
Nematen Laa raha hai
Ramadan aa raha hai

Mohabbat unko Ataa nahi hoti
Jinke Dil mein Khudaa nahi hota
Nafraton mein nuqsaan k sewa kya hai miyan
Mohabbat karo iss mein hai khushiyan hi khushiyan
Auron k Daman mein kya jhanken miyan
Jab apne hi ghereban mein hai itne khamiyan

Safar mein gar hai Malik bahuth dushwaariyan
Manzil tak magar hai pahunchna badi majburiyan
Diivaan-E-Malik

30/03/2026

Arz Kia hai

Bachpan gaya
Pachpan aaya
Fitrath mein magar
Farq nakoi aaya
Zaqm sukhae
Kwaab ruthae
Saahil se niklae
Sahra mein bhatkae
Maut ko daekhae
Zindagi ko tarsae
***
Rishtae jeevan k
nibhana hi padae ga
Raah e wafa mein
jaan dena bhi padae ga
Sangharsh yeh sukh dukh k
Uthana hi padae ga
Mohabbat ki raahon mein
Jaan nisaar hona bhi padae ga

Diivaan-E-Malik

25/01/2026

Har uljhan ko samajhdari
se suljha tae hain
A’aa Badae saleqae se hum
Yeh rishtae nibha tae hain

Badhaa rahi hai mere dukh bahuth
Yeh apne darmiyaan ki dooriyaan

Rishton mein Ranjishen
Fitrathon ki baath hai
Milna bichhadhna
Muqaddaron k haath hai

Safar yeh asaan hai Malik
Humsafar gar Maherbaan hai
Raah k har lamha
Warna sogvaar hai

Diivaan-E-Malik

Address

Melbourne, VIC
3000

Telephone

+61433378605

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Diivaan-E-Malik posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Establishment

Send a message to Diivaan-E-Malik:

Share

Category