Find Good Poetry

Find Good Poetry Poetry Enthusiast
Where words meet emotions
Your daily dose of verse and inspiration

25/09/2026

Bhejun ga aglay saal main sonay ki baaliyan
Ab mazrat ke, fasal ko bhao nahi laga

Jo bhi kahay haram, mohabbat main j**m ko
To samjho aise shakhs ka dao nahi laga!

24/09/2026

Saans leta hun to shaeh rag main chubhan hoti hai
Ishq bhi jang ka maidan ho jaisay

Tham kar hath mera aise woh roya Mohsin
Koi kafir se musalman hua ho jaisay!

23/09/2026

Tere la hasil honay ka dukh to rahay ga umr bhar
Lekin khair, main ne bhi kaun sa ta hayat jeena hai!

22/09/2026

Shamil hun khail main teri tafreeh ke liye
Baazi to kitni dair se hara hua hun main!

21/09/2026

Jis shakhs ki khatir tera yeh haal hai Mohsin
Us ne tere mar janay pe rona bhi nahi hai!

20/09/2026

Hum ne mana ke waqt marham hai
Par yeh zakhmon ka hal nahi hai

Lakh duniya bhi hath aa jaye
Us ka naim o badal nahi hai!

19/09/2026

Mohabbat ki akhri had hai zaleel hona
Aur main ne wahan tak mohabbat nibhayi hai!

18/09/2026

Dar guzar jitna kiya hai, wohe kafi hai mujhe
Ab tujhe qatal bhi kar doun to maafi hai mujhe!

17/09/2026

Hathon pe mehndi bhi lagani nahi ati ab talaq
Kyun kar aya tujhe ghairon se lagana dil ka!

16/09/2026

Bait ya sar, yeh tha taqaza yazeed ka
Mayoos to koi bhi sawali nahi gaya

Bait na ki Hussain A.S ne, sar de diya usey
Is ghar se to yazeed bhi khali nahi gaya!

Address

Rawalpindi

Website

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Find Good Poetry posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Shortcuts

Share

Category