10/05/2026
Hazrat Makhdoom Shahbaz Muhammad jab Bhagalpur tashreef laaye, toh us saal wahan sakht qahet (drought) tha aur baarish nahi ho rahi thi. Haakim-e-waqt (ruler) ne aap ki khidmat mein hazir hokar dua ki darkhwast ki. Aap ne farmaya: "Falan jagah jao, wahan ek faqeer rehta hai, us se apni haajat (need) bayan karo."
Haakim us darvesh ke paas gaya aur dua ki darkhwast ki. Faqeer ne dua ki aur usi waqt moosladhaar (heavy) baarish shuru ho gayi. Faqeer kehne laga: "Shahbaz Muhammad khud ko chhupate hain aur mujh gosha-nasheen (recluse) ko logon ke saamne zaahir karte hain. Allah unhein aashkaar kare (Allah unhein mashhoor kare)."
-Karamaat e Shahbaaz
By Huzoor Sayyidi Intekhab Alam Shahbazi (damad barkatum aliya)
Sajjadanasheen Khanquah e Shahbazia, Bhagalpur