31/07/2025
Ab koi khwab nhi kahani nahi hai,
Meri aankh me bcha ab pani nhi hai,
Mere jahan me basa dhua shayad chhat jaye,
Ab paas mere uski nishani nhi hai,
Teri khatir paar kar jau sehra koi dariya koi,
Ab wo ishq nhi hai ab wo jawani nhi hai,
Dikhte hain aur mashail bhi jindagi ke ishq se alag,
Ab mujhme baaki koi rawaani nhi hai,
Akhir kabtak bhaage ik tuti ummeed ke piche,
Tujhe na dekhe to ro pde aankh ab itni diwani nhi hai,
Jindagi me hain khwab kai tujhse alag bhi mere,
Jo tujhe janna bhi ho to mujhe batani nhi hai,
Bhram muhabbat ka aur kitna paala jaaye,
Tu chahe bhi to tujhse nibhayi jani nhi hai..